Mera beta 17year ka hai bhut gussa karta hai aur samjhane per irritate hota hai
Ans: Dear Saroj,
Ab 17 saal mein yeh sab normal hi hota hai kyonki woh us padaav mein hain jab woh na bacche rahe na bade hue hain. Saath mein hormones upar-neeche hoti rahengi aur is wajah se gussa, roothna, rona ityadi yeh sab hota rahega.
Uski parwarish ka tareeka ab thoda alag hona padega. Ab woh har baat aise hi nahin maanega, sawaal bahut karega, manaa karega aur isme aap apna aapaa kho sakte ho. yahi samay aapko saiyaam se kaam lena hoga. Chillane ya daantne se maamla aur bigad sakta hai...isiliye shaanti se sun lijiye...agar woh chilaaye toh shaant rahiye (mushkil hai), aur sawaal kijiye usse ki aap uska saath kaise de sakte hai pareshaani mein?
Par agar yeh naaraazgi use parivaar, padhaai aur doston se door le jaa raha hai tab kuch toh zaroora karna padega. Phir ek counselor ki zaroorat padegi. yeh jaanana padega ki is gusse ka koi aur gehra kaaran to nahin...
All the best!
Anu Krishna
Mind Coach|NLP Trainer|Author
Drop in: www.unfear.io
Reach me: Facebook: anukrish07/ AND LinkedIn: anukrishna-joyofserving/